
Suna Hai Khuda Ke Darbar Se, Kuch Farishtey Faraar Ho Gaye;
Kuch to Vaapas Chale Gaye, Aur Kuch Humare Yaar Ho Gaye!
Humne Bhi Kisi Se Pyar Kiya Tha;
Hatho Me Phool Lekar Intezar Kiya Tha;
Bhul Unki Nahi Bhul Toh Hamari Thi;
Kyon Ki Unho Ne Nahi, Humne Unse Pyar Kiya Tha!

Asmaan Itni Bulandi Pe Jo Itrata Hai;
Bhuul Jaata Hai Zameen Se Hi Nazar Aata Hai!
Ahbab Ko De Raha Hoon Dhokha;
Chehre Pe Khushi Saja Raha Hoon!

Wo Baat Baat Pe Deta Hai Parindon Ki Misaal 'Faraz';
Saaf Saaf Nahi Kehta Mera Sheher Hi Chodd Do!
Taash Ke Patoon Ki Manind Hai Zindagi Meri;
Jis Kisi Ne Bhi Khela, Taqseem Mar Diya Mujhe!

Mat Khao Kasame Sari Zindagi Sath Nibhane Ki;
Hum Ne Sanson Ko Bhi Juda Hote Dekha Hai!
Hichkiyon Par Ho Raha Hai Zindagi Ka Raag Ḳhatam;
Jhatke De Kar Taar Tode Ja Rahe Hain Saaz Ke!

Ghazal Uss Ne Chhedi Mujhe Saaz Dena;
Zara Umar-e-Rafta Ko Awaaz Dena!
Khamoshyian Kar Deti Byan To Alag Baat Hai;
Kuchh Dard Hai Jo Lafzo Main Utaare Nahi Jate!