
Patthar Paani Ho Jaate Hain, Log Kahani Ho Jaate Hain; Naye Naye Chehre Wale Bhi, Baat Purani Ho Jaate Hain!

Mujh Ko Ek Pagal Ke Hawale Kar Jao; Khul Kar Hansne Rone Ka Dil Hota Hai!

Hum Ko Na Mil Saka To Faqat Ek Sukun-e-Dil; Ai Zindagi Vagarna Zamane Mein Kya Na Tha!

Kisi Tarah To Ghate Dil Ki Be-Qarari Bhi; Chalo Vo Chashm Nahi Kam Se Kam Sharab To Ho!

Dil Ko Phir Ummeed Garmane Lagi, Phir Mujhe Duniya Nazar Aane Lagi; Dil Pe Daali Hai Kisi Ne Phir Nigaah, Saans Phir Aane Lagi Jaane Lagi!

Sina Hai Ek Yaas Ka Sahra Liye Hue; Dil Rang-e-Gulsitan-e-Tamanna Liye Hue!

Ye Mat Bhula Ki Yahan Jis Qadar Ujale Hain; Ye Aadmi Ne Andheron Se Hi Nikale Hain!

Agar Phulon Ki Khwahish Hai To Sun Lo; Kisi Ki Raah Mein Kante Na Rakhna!

Mujh Se Kehte Nahi Banta Ki Sitam Kam Kije; Phir Na Aisa Ho Kisi Roz Mera Gham Kije!

Guzar Kar Aadmi Rah-e-Musibat Se Sanvarta Hai; Qamar Ka Noor Shab Ki Zulmaton Mein Hi Nikharta Hai!