
Mohabbat Ka Fasana Hum Se Dohraya Nahi Jata; Bas Ab Hum Se Fareb-e-Aarzoo Khaya Nahin Jata!

Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli; Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe!

Mere Dil Ke Dariche Se Uchak Kar Jhankti Bahar; Gulabi Aidiyon Wali Anokhi Aazmaish Hai! * Dariche: Window * Uchak:jump, Leap, Rise * Aidiyon: Heels

Zara Si Chaaye Giri Aur Daagh Daagh Varaq; Ye Zindagi Hai Ki Akhbar Ka Tarasha Hai! * Varaq: Paper * Tarasha: Chiselled (Cut, Shaped)

Aa Ki Tujh Bin Is Tarah Ai Dost Ghabrata Hun Main; Jaise Har Shai Mein Kisi Shai Ki Kami Paata Hun Main!

Yaqeen Kaise Karen Vaade Pe Tere; Yahi Vaada Hai Jo Karte Sabhi Hain!

Zahid To Bakhshe Jayen Gunahgar Munh Taken; Ai Rahmat-e-Khudaa Tujhe Aisa Na Chahiye!

Ye Hadasa Hai Magar Us Taraf Hua Bhi Nahi; Juda Hua Bhi To Us Se Jo Janta Bhi Nahi!

Aisi To Na Thi Qismat Apna Bhi Koi Hota; Kyon Khud Ko Mohabbat Ka Haqdar Samajh Baithe!

Jaan Ise Chalane Mein Ahrman Ki Khapti Hai; Raat-Din Magar Duniya Naam Tera Japti Hai, Roshni Ke Jalwe Hain Phalte Phulte Jangal; Jin Ki Chhattr-Chhaya Mein Tirgi Panapti Hai! *Tirgi: Darkness, Gloom