
Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi; Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe, Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur 'Jaleel'; Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe!

Tumhein Ghairon Se Kab Fursat Hum Apne Gham Se Kam Khali; Chalo Bas Ho Chuka Milna Na Tum Khali Na Ham Khali!

Hamari Jaat Mein Baste Sabhi Hain; Hum Achhe Hain To Phir Achhe Sabhi Hain!

Ishq Maashuq Ishq Ashiq Hai; Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! * Mubtala: Afflicted, Distressed

Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum; Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum; Muddat Hui Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye, Awargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachayein Hum!

Tum Suno Ya Na Suno Haath Badhao Na Badhao; Doobte Doobte Ek Baar Pukarenge Tumhein!

Aaj Ki Raat Bhi Tanha Hi Kati; Aaj Ke Din Bhi Andhera Hoga!

Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil; Sabz Mausam Karb Ka Hai Mustaqil!

Mohabbat Ek Khushboo Hai Hamesha Saath Chalti Hai; Koi Insaan Tanhayi Mein Bhi Tanha Nahi Rehta!

Andheron Ko Nikala Ja Raha Hai; Magar Ghar Se Ujala Ja Raha Hai!