Ja Baithe Nadi Kinare Raat Aur Main; Donon Ik Duje Ke Sahare Raat Aur Main!
Mujh Ko Auron Se Kuch Nahi Hai Kaam; Tujh Se Har Dam Umeed-Vari Hai!
Hum Ne To Socha Bhi Nahin Tha Aisa Din Bhi Aayega;
Apnon Ka Yun Rukh Badlega Sab Se Jee Bhar Jayega!
Wo Koi Jaam Pila Den To Na Jaane Kya Ho;
Jin Ke Dekhe Hi Se Aankhon Mein Khumar Aa Jaaye!
Donon-Jahan Ko Zinat-e-Daman Kiye Hue;
Baitha Hun Dil Mein Aap Ko Mehman Kiye Hue!
Qalib Ko Apne Chhod Ke Maqlub Ho Gaye; Kya Aur Koi Qalib Hai Is Inquilab Mein!!
Hamare Haath Se Wo Bhi Nikal Gaya Aakhir; Ki Jis Khayal Mein Hum Muddaton Se Khoye The!
Tera Bada Hi Shukriya Pilaye Ja Pilaye Ja; Na Zikr Kar Hisab Ka Sharab La Sharab La!
Teri Zameen Se Uthenge To Aasman Honge;
Hum Aise Log Zamane Mein Phir Kahan Honge!
Tere Vaadon Pe Kahan Tak Mera Dil Fareb Khaye;
Koi Aisa Kar Bahana Meri Aas Toot Jaye!



