Dard Kya Hota Hai Batayenge Ek Roz;
Pyaar Kee Ghazal Sunayege Kisi Roz;
Thi Unki Zidd Ki Main Jaun Unko Manane;
Mujhko Yeh Veham Tha Wo Bulayenge Kisi Roz!

sms

Koi Achhi Si Saza Do Mujhko;
Chalo Aisa Karo Rula Do Mujhe;
Tumhein Bhulun To Maut Aa Jaye;
Dil Kee Gehrai Se Yeh Dua Do Mujhko!

sms

Mehfil Mein Hansna Mera Mizaz Ban Geya;
Tanhai Mein Rona Ek Raaz Ban Geya;
Dil Ke Dard Ko Chehre Se Zahir Na Hone Diya;
Yahi Mere Jeene Ka Andaaz Ban Geya!

Sarkati Jaye Hai Rukh Se

Sarkati Jaye Hai Rukh Se Naqab Aahista-Aahista;
Niklta Aa Raha Hai Aaftab Aahista-Aahista;

Jawan Hone lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda;
Hayaa Yaklakht Aayi Aur Shabab Aahista-Aahista;

Shab-e-Furkat Ka Jaaga Hu Farishto Ab To Sone Do;
Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Aahista-Aahista;

Sawal-e-Wasl Par Unko Adu Ka Khauf Hai Itna;
Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Aahista-Aahista;

Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Fark Hai Itna;
Idhar To Jaldi-Jaldi Hai Udhar Aahista-Aahista;

Wo Bedardi Se Sar Kaate 'Ameer' Aur Main Kahun Unse;
Huzur Aahista-Aahista Janaab Aahista-Aahista!

sms

Yun Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye;
Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye!

sms

Badi Mushkil Se Bana Hun Toot Jaane Ke Baad;
Main Aaj Bhi Ro Deta Hun Muskurane Ke Baad;
Tujh Se Mohabbat Thi Mujhe Beinteha Lekin;
Aksar Yeh Mehsoos Hua Tere Jaane Ke Baad!

Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko;
Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai;
Humse Khush Naseeb To Hai Aapke Ghar Ka Aaina;
Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai!

Kabhi Aansu To Kabhi Khushi Dekhi;
Humne Aksar Mazboori Aur Bekasi Dekhi;
Unki Narazgi Ko Hum Kya Samjhe;
Humne To Khud Apni Taqdeer Kee Bebasi Dekhi!

Khud Ko Kyon Jism Ka Zindani Kare;
Fikar Ko Takht-e-Sulemani Kare;

Der Tak Baith Ke Soche Khud Ko;
Aaj Fir Ghar Mein Biyabani Kare;

Apne Kamre Mein Sajaye Aafaq;
Jalsa-e-Be-Sar-o-Samani Kare;

Umar Bhar Sher Kahe Khoon Thuke;
Muntkhib Rasta-e-Nuksani Kare;

Khud Ke Liye Mol Le Izhar Ka Karz;
Dusron Ke Liye Aasani Kare;

Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhe;
Harf-e-Na-Gufta Ko La-Sani Kare;

Kimiyakari Hai Fan Apna 'Saaz';
Aag Ko Baithe Hue Paani Kare!

sms

Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane Wale;
Yeh Naale Nahi Be-Asar Jaane Wale;
Nahi Jaante Kuch Ki Jaana Kahan Hai;
Chale Ja Rahe Hain Magar Jaane Wale!

End of content

No more pages to load

Next page