
Madhoshiyon Se Kaam Liya Hai Kabhi Kabhi; Haath Un Ka Hum Ne Thaam Liya Hai Kabhi Kabhi!

Mai-Kash Bhula Sakenge Na Saaqi Ka Ye Karam; Girton Ko Us Ne Thaam Liya Hai Kabhi Kabhi!

Soone Sab Raste Pade Hue Thakan Se Choor; 'Rahi' Kaun Batayega Manzil Kitni Door!

Use Bhi Jaate Hue Tum Ne Mujh Se Cheen Liya; Tumhara Gham To Meri Aarzoo Ka Zevar Tha!

Hum Ne To Charaghon Ki Tarah Farz Nibhaya; Ab Raat Ki Kalak Ko Sahar Kaun Karega!

Apne Haathon Se Saja Aur Mujhe Sandal Kar De; Dil Ki Basti Mein Ajab Pyaar Ki Hulchal Kar De!

Ye Ilam Ka Sauda Ye Risale Ye Kitabein; Ek Shakhs Ki Yaadon Ko Bhulane Ke Liye Hain!

Saaqi Ne Jo Pilayi Hamari Hi Thi Khareed; Hum Se Bhi Us Ne Daam Liya Hai Kabhi Kabhi!

Tumhari Aarzoo Mein Maine Apni Aarzoo Ki Thi; Khud Apni Justuju Ka Aap Hasil Ho Gaya Hun Main! *Hasil: Gain, Result

Nikal Kar Khud Se Bahar Bhagne Se Khud Mein Aane Tak; Farar Aakhir Hai Ye Kaisa Ye Kaisi Aazmaish Hai!