
Garmi Lagi To Khud Se Alag Ho Ke So Gaye;
Sardi Lagi To Khud Ko Dobara Pehan Liya!

Aaina Dekh Kar Wo Ye Samjhe;
Mil Gaya Husn-e-Be-Misal Humein!

Hawa Darakhton Se Kehti Hai Dukh Ke Lahje Mein;
Abhi Mujhe Kayi Sehraon Se Guzarna Hai!

Kehte Hain Umr-e-Rafta Kabhi Lautti Nahi;
Ja Mai-Kade Se Meri Jawani Utha Ke La!

Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Mein Badan Toota Hai;
Jaag Uthti Hain Ajab Khwahishen Angdai Ki!

Musafiron Se Mohabbat Kī Baat Kar Lekin;
Musafiron Ki Mohabbat Ka Aitbar Na Kar!

Shayad Meri Nazar Mein Ashkon Ka Qafila Hai;
Kuch Saaf Dikh Na Paaye Sab Kuch Dhuan Dhuan Hai!

Yun Teri Raah Mein Pade Hue Hain;
Jaise Dargah Mein Pade Hue Hain!

Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan;
Lafz Ke Maani Pe Qaayam Saare Rishton Ka Nishan!

Kab Lauta Hai Behta Paani Bichhda Sajan Rootha Dost;
Hum Ne Us Ko Apna Jaana Jab Tak Haath Mein Daman Tha!