
Hum Hue Tum Hue Ki 'Meer' Hue;
Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue!
*Aseer: Prisoner, Captive

Be-Nam Sa Ye Dard Thehar Kyon Nahi Jaata;
Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata!

Ishq Ki Chot Ka Kuch Dil Pe Asar Ho To Sahi;
Dard Kam Ho Ya Zyada Ho Magar Ho To Sahi!

Sar Pe Dast-e-Hawa Hai Sadiyon Se;
Ghaib Ka Aasra Hai Sadiyon Se!
* Ghaib: Mysterious, Unseen

Aao Purani Yaad Ke Shoalon Mein Taap Len;
Kitne Hain Haath Sard Mulaqat Ki Tarah!<

Behtar To Hai Yahi Ki Na Duniya Se Dil Lage;
Par Kya Karen Jo Kaam Na Be-Dil-Lagi Chale!

Garmi Bahut Hai Aaj Khula Rakh Makaan Ko;
Us Ki Gali Se Raat Ko Purvai Aayegi!

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi;
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malal Bhi!

Takoge Raah Saharon Ki Tum Miyan Kab Tak;
Qadam Uthao Ki Taqdeer Intezar Mein Hai!

Heya Nahi Hai Zamane Ki Aankh Mein Baaki;
Khuda Kare Ki Jawani Teri Rahe Be-Dagh!