
Log Kehte Hain Ki Tu Ab Bhi Khafa Hai Mujh Se;
Teri Aankhon Ne To Kuch Aur Kaha Hai Mujh Se!

Main Bachpan Mein Khilone Todta Tha;
Mere Anjaam Ki Wo Ibtida Thi!

Jhooth Mein Shak Ki Kam Gunjaish Ho Sakti Hai;
Sach Ko Jab Chaho Jhuthlaya Ja Sakta Hai!

Na Paak Hoga Kabhi Husn-o-Ishq Ka Jhagda;
Wo Qissa Hai Ye Ki Jis Ka Koi Gawah Nahi!

Sada Ek Hi Rukh Nahi Naav Chalti;
Chalo Tum Udhar Ko Hawa Ho Jidhar Ki!

Main Laakh Ise Taaza Rakhun Dil Ke Lahu Se;
Lekin Teri Tasveer Khayali Hi Rahegi!

Ek Aansu Bhi Hukumat Ke Liye Khatra Hai;
Tum Ne Dekha Nahi Aankhon Ka Samundar Hona!

Na-Umeedi Maut Se Kehti Hai Apna Kaam Kar;
Aas Kehti Hai Thehar Khat Ka Jawab Aane Ko Hai!

Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga;
Wo Bhi Meri Hi Tarah Shahar Mein Tanha Hoga!

Hazar Shama Farozan Ho Roshni Ke Liye;
Nazar Nahi To Andhera Hai Aadmi Ke Liye!