
Ek Tarz-e-Taghaful Hai So Wo Un Ko Mubarak;
Ek Arz-e-Tamanna Hai So Hum Karte Rahenge!
*Tarz-e-Taghaful: Style Of Ignorance

Deewarein Chhoti Hoti Thi Lekin Parda Hota Tha;
Taalon Ki Izaad Se Pehle Sirf Bharosa Hota Tha!

Main Sote Sote Kayi Baar Chaunk Chaunk Pada;
Tamaam Raat Tere Pehluon Se Aanch Aayi!

Aankhon Se Aansuon Ke Marasim Purane Hain;
Mehman Ye Ghar Mein Aayen To Chubhta Nahi Dhuan!

Awaaz De Ke Dekh Lo Shayad Woh Mil Hi Jaye;
Varna Ye Umar Bhar Ka Safar Rayegan To Hai!

Kitni Lambi Khamoshi Se Guzra Hun;
Un Se Kitna Kuch Kehne Ki Koshish Ki!

Tum Se Bichhad Kar Zinda Hain;
Jaan Bahut Sharminda Hain!

Itne Aansu To Na The Deeda-e-Tar Ke Aage;
Ab To Paani Hi Bhara Rehta Hai Ghar Ke Aage!

Vaade Ka Aitibar To Hai Vaqayi Mujhe;
Ye Aur Baat Hai Ki Hansi Aa Gayi Mujhe!

Shaam Dhalne Se Faqat Shaam Nahi Dhalti Hai;
Umar Dhal Jaati Hai Jaldi Palat Aana Mere Dost!