Ab Ye Sochun To Bhanwar Zehn Mein Pad Jaate Hain;
Kaise Chehre Hain Jo Milte Hi Bichhad Jaate Hain!
Is Zamane Ki Ajab Tishna-Labi Hai Ai 'Zafar';
Pyaas Us Ki Sirf Bujhti Hai Hamare Khoon Se!
Ik Saal Gaya Ik Saal Naya Hai Aane Ko;
Par Waqt Ka Ab Bhi Hosh Nahi Deewane Ko!
Hum Log Na Nikle To Safar Kaun Karega;
Duniya Ko Haqeeqat Ki Khabar Kaun Karega!
Kabhi Sab Cheen Leta Hun Kabhi Niyamat Lutata Hun;
Mujhe Sab Waqt Kehte Hain Main Ungli Par Nachata Hun!
Teer-o-Talvar Se Badh Kar Hai Teri Tirchhi Nigah;
Saikdon Aashiqon Ka Khoon Kiye Baithi Hai!
Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Taak Kar Hairan Hua;
Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Kisi Zamaane Mein!
Aankhon Mein Sulagti Hui Vehshat Ke Jilau Mein;
Wo Hairat-o-Hasrat Ka Jahan Yaad Rahega!
*Jilau: In the company of/Side
Dil Aur Shama Dono Barabar Hain Sokhta;
Uthta Hai Kis Jagah Se Dhuan Dekhte Raho!
*Sokhta: Burnt, Grieved
Ek Majzoob Udasi Mere Andar Gum Hai;
Is Samundar Mein Koi Aur Samundar Gum Hai!



