Mohabbat Ke Liye Jazba Hai Lazim;
Ye Aaina To Yun Milta Nahi Hai!
Sakht Vahshat Si Barasti Hai Shab-o-Roz Yahan;
Ab To Ghaugha-e-Sagan Tak Mein Asar Koi Nahin!
*Sakht Vahshat: Hard, Fear
*Shab-o-Roz: Night and day, Always, All the time
*Ghaugha-e-Sagan: Brouhaha, Din Of Dogs
Log Nafrat Ki Fizaon Mein Bhi Jee Lete Hain;
Hum Mohabbat Ki Hawa Se Bhi Dara Karte Hain!
Us Ke Bachche Nahi Thakte Mujhe Mamu Kehte;
Jis Ki Janib Mera Rujhan Tha Achha-Khasa!
Aandhi Ka Kar Khayal Na Tevar Hawa Ke Dekh;
Deewar Ret Ki Sahi Unchi Utha Ke Dekh!
Ik Ik Qadam Pe Rakhi Hai Yun Zindagi Ki Laaj;
Gham Ka Bhi Ehtiram Kiya Hai Khushi Ke Saath!
Ye Hasil Hai Meri Khamoshiyon Ka;
Ki Patthar Azmane Lag Gaye Hain!
Dil Shab-e-Furqat Sukun Ki Justuju Karta Raha;
Raat-Bhar Deewar-o-Dar Se Guftugu Karta Raha!
Phoolon Mein Vahi To Phool Thehra;
Jo Tere Salaam Ko Khila Ho!
Mohabbat Mein Jafa Kya Hai Vafa Kya;
Woh Yeh Puchein Toh Shikwon Ka Maza Kya!



