Qismat Ajeeb Khel Dikhati Chali Gayi;
Jo Hans Rahe The Un Ko Rulati Chali Gayi!
Woh Koi Dost Tha Achche Dinon Ka;
Jo Pichhli Raat Se Yaad Aa Raha Hai!
Kaise Kahen Ki Tujh Ko Bhi Hum Se Hai Vaasta Koi;
Tune To Hum Se Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya!
Us Ke Asbaab Se Nikla Hai Pareshan Kaghaz;
Baat Itni Thi Magar Khoob Uchhali Hum Ne!
Tera Ghuroor Mere Zabt Ka Sawaal Raha;
Bikhar Bikhar Ke Tujhe Chahna Kamaal Raha!
Likha Wohi Tha Ki Jo Tha Naseeb Ka Likha;
Bala Se Khat Ka Jawaab Us Ne Kuch Diya To Sahi!
Na Jaane Kyon Hamare Dil Ko Tum Ne Dil Nahi Samjha;
Ye Sheesha Tod Daala Pyaar Ke Qabil Nahi Samjha!
Suraj Hun Zindagi Ki Ramaq Chhod Jaunga;
Main Doob Bhi Gaya To Shafaq Chhod Jaunga!
*Ramaq: The last gasp
Lafz-o-Manzar Mein Maani Ko Tatola Na Karo;
Hosh Wale Ho To Har Baat Ko Samjha Na Karo!
*Maani: Meanings
Ye Dasht Wo Hai Jahan Rasta Nahi Milta;
Abhi Se Laut Chalo Ghar Abhi Ujala Hai!
*Dasht: Forest



