Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi;
Kuch Mujhe Bhi Kharab Hona Tha!
Had Hai Apni Taraf Nahi Main Bhi;
Aur Un Ki Taraf Khudai Hai!
Kinare Hi Se Toofan Ka Tamasha Dekhne Wale;
Kinare Se Kabhi Andaza-e-Toofan Nahi Hota!
Sunne Wale Ro Diye Sun Kar Mareez-e-Gham Ka Haal;
Dekhne Wale Taras Kha Kar Dua Dene Lage!
Ye Intezar Ki Ghadiyan Ye Shab Ka Sannat;
Is Ek Shab Mein Bhare Hain Hazaar Saal Ke Din!
Hum Aise Log Kahan Manzilon Ko Paate Hain;
Hum Aise Log Faqat Raaste Banate Hain!
Aankh Mein Paani Rakho Honthon Pe Chingari Rakhoo;
Zinda Rehna Hai To Tarkeebein Bahut Saari Rakho!
Huzur Aap Koi Faisla Karen To Sahi;
Hain Sar Jhuke Hue Darbar Bhi Laga Hua Hai!
Main Aag Dekhta Tha Aag Se Juda Kar Ke;
Bala Ka Rang Tha Rangeeni-e-Qaba Se Udhar!
Dard Se Dil Ne Vaasta Rakha;
Waqt Badlega Haunsla Rakha!



