Koi Naam Hai Na Koi Nishaan Mujhe Kya Hua;
Main Bikhar Gaya Hun Kahan Kahan Mujhe Kya Hua!
Din Aa Gaye Shabab Ke Aanchal Sambhaliye;
Hone Lagi Hai Shehar Mein Hulchul Sambhaliye!
Gila Likhun Main Agar Teri Bewafai Ka;
Lahoo Mein Gharq Safeena Ho Ashnayi Ka!
Kisi Ko Kya Bataun Kaun Hun Main;
Ki Apni Dastaan Bhoola Hua Hun!
Aap Chheden Na Wafa Ka Qissa;
Baat Mein Baat Nikal Aati Hai!
Aankhon Se Mohabbat Ke Ishare Nikal Aaye;
Barsat Ke Mausam Mein Sitare Nikal Aaye!
Wo Kya Zindagi Jis Mein Joshish Nahi;
Wo Kya Aarzoo Jis Mein Kavish Nahi!
Ek Ek Baat Mein Sachchayi Hai Us Ki Lekin;
Apne Vaadon Se Mukar Jaane Ko Ji Chahta Hai!
Saath Chalta Hai Koi Aur Bhi Su-e-Manzil;
Mujh Ko Dhokha Mere Naqsh-e-Kaf-e-Pa Dete Hain!
*Naqsh-e-Kaf-e-Pa: Footprints
Na Jaane Kyon Hamare Dil Ko Tum Ne Dil Nahi Samjha;
Ye Sheesha Tod Dala Pyaar Ke Qabil Nahi Samjha!



