Kyon Pasheman Ho Agar Vaada Wafa Ho Na Saka;
Kahin Vaade Bhi Nibhane Ke Liye Hote Hain!
Kuch Nahin Chahiye Tujh Se Ai Meri Umr-e-Ravan;
Mera Bachpan Mere Jugnu Meri Gudiya La De!
Gul Ke Hone Ki Tavaqqo Pe Jiye Baithi Hai;
Har Kali Jaan Ko Mutthi Mein Liye Baithi Hai!
Muskurane Ki Saza Kitni Kadi Hoti Hai;
Puch Aao Ye Kisi Khilti Kali Se Pehle!
Aap Ke Baad Har Ghadi Hum Ne;
Aap Ke Saath Hi Guzari Hai!
Manzil Mili Murad Mili Mudda Mila;
Sab Kuch Mujhe Mila Jo Tera Naqsh-e-Pa Mila!
Bijli Giregi Sehn-e-Chaman Mein Kahan Kahan;
Kis Shakh-e-Gulistan Pe Mera Ashiyan Nahin!
Kya Khabar Kaun Tha Woh Aur Mera Kya Lagta Tha;
Jis Se Mil Kar Mujhe Har Shakhs Bura Lagta Tha!
Karunga Kya Jo Mohabbat Mein Ho Gaya Nakaam;
Mujhe To Aur Koi Kaam Bhi Nahi Aata!
Mohabbat Ki Saza Tark-e-Mohabbat;
Mohabbat Ka Yahi Inaam Bhi Hai!



