Kashtiyan Sab Ki Kinare Pe Pahunch Jati Hain;
Nakhuda Jin Ka Nahi Un Ka Khuda Hota Hai!
Dil-e-Muztar Se Puch Ai Raunaq-e-Bazm;
Main Khud Aaya Nahi Laya Gaya Hun!
Buri Sarisht Na Badli Jagah Badalne Se;
Chaman Mein Aa Ke Bhi Kaanta Gulab Ho Na Saka!
Mud Ke Dekha To Humein Chhod Ke Jati Thi Hayat;
Hum Ne Jana Tha Koi Bojh Gira Hai Sar Se!
Maqam 'Faiz' Koi Raah Mein Jacha Hi Nahin;
Jo Ku-e-Yaar Se Nikle To Su-e-Daar Chale!
Sab Ik Charagh Ke Parwane Hona Chahte Hain;
Ajeeb Log Hain Deewane Hona Chahte Hain!
Umar Jo Be-Khudi Mein Guzri Hai;
Bas Wahi Agahi Mein Guzri Hai!
Maza Aata Agar Guzri Hui Baton Ka Afsana;
Kahin Se Tum Bayan Karte Kahin Se Hum Bayan Karte!
Musafiron Se Mohabbat Ki Baat Kar Lekin;
Musafiron Ki Mohabbat Ka Aitbar Na Kar!
Waqif Kahan Zamana Hamari Udaan Se;
Wo Aur The Jo Haar Gaye Aasman Se!



