Tumhein Khwab Mein Phir Se Aana Padega;
Naye Pyaar Ko Bhool Jaana Padega!
Ai Gham-e-Zindagi Na Ho Naraz;
Mujh Ko Aadat Hai Muskurane Ki!
Tumhara Dil Mere Dil Ke Barabar Ho Nahi Sakta;
Wo Sheesha Ho Nahi Sakta Ye Patthar Ho Nahi Sakta!
Jaane Kis Mod Pe Le Aayi Humein Teri Talab;
Sar Pe Suraj Bhi Nahi Raah Mein Saaya Bhi Nahi!
Jab Yaar Ne Utha Kar Zulfon Ke Baal Bandhe;
Tab Maine Apne Dil Mein Lakhon Khayal Bandhe!
Na Jaane Keh Gaye Kya Aap Muskurane Mein;
Hai Dil Ko Naaz Ki Jaan Aa Gayi Fasane Mein!
Mat Puch Ki Kya Haal Hai Mera Tere Peeche;
Tu Dekh Ki Kya Rang Hai Tera Mere Aage!
Yeh Sard Raat Yeh Aawargi Yeh Neend Ka Bojh;
Hum Apne Shehar Mein Hote To Ghar Chale Jaate!
Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahi Hun;
Bazar Se Guzra Hun Khareedar Nahi Hun!
Mil Gayi Mujh Ko To Duniya Se Nazat;
Qatal Kar Ke Aap Ko Kya Mil Gaya!



