Rakhe Rakhe Ho Gaye Purane Tamaam Rishte;
Kahan Kisi Ajnabi Se Rishta Naya Banayen!
Samundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaaz De Hum Ko;
Hawayein Tez Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaye!
Hum Toh Tamam Umar Teri Hi Ada Rahe;
Ye Kya Hua Ki Phir Bhi Hum Bewafa Rahe!
Kharab Hote Kharabe Mein Aur Kya Hota;
Huzur-e-Saqi Agar Hum Subu Subu Karte!
Hai Aaj Rukh Hawa Ka Muafiq To Chal Nikal;
Kal Ki Kise Khabar Hai Kidhar Ki Hawa Chale!
Har Ek Baat Ke Yun To Diye Jawab Us Ne;
Jo Khaas Baat Thi Har Baar Hans Ke Taal Gaya!
Log Dete Rahe Kya Kya Na Dilase Mujh Ko;
Zakhm Gehra Hi Sahi Zakhm Hai Bhar Jayega!
Kal Raat Ko Dekha Tha Jise Khwab Mein Tum Ne;
Rukhsar Pe Rakhe Hue Rukhsar Humin The!
Jaane Main Kaun Si Pasti Mein Gira Hun 'Shahzad';
Is Kadar Door Hai Suraj Ki Diya Lagta Hai!
Tere Labon Ko Mili Hai Shaguftagi Gul Ki;
Hamari Aankh Ke Hisse Mein Jharne Aaye Hain!



