Mere Khuda Mujhe Itna To Motabar Kar De;
Main Jis Makan Mein Rehta Hun Us Ko Ghar Kar De!
Main Jata Hun Dil Ko Tere Paas Chore;
Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega!
Kuch Khabar Hai Tujhe O Chain Se Sone Wale;
Raat Bhar Kaun Teri Yaad Mein Bedaar Raha!
Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan;
Zindagi Gar Kuch Rahi To Ye Jawani Phir Kahan!
Nala-e-Bulbul-e-Shaida To Suna Hans Hans Kar;
Ab Jigar Thaam Ke Baitho Meri Baari Aayi!
*Nala-e-Bulbul-e-Shaida: Crying of nightingale who is in deep ardor
Zakhm Khate Hain Aur Muskurate Hain Hum;
Haunsla Apna Khud Azmate Hain Hum!
Tumhara Naam Aaya Aur Hum Takne Lage Raasta;
Tumhari Yaad Aayi Aur Khidki Khol Di Humne!
Sada Aish Dauran Dikhata Nahi;
Gaya Waqt Phir Haath Aata Nahi!
Hum Jis Ke Ho Gaye Wo Hamara Na Ho Saka;
Yun Bhi Hua Hisaab Barabar Kabhi Kabhi!
Ek Wahi Shakhs Mujhko Yaad Raha;
Jisko Samjha Tha Bhool Jaunga!



