Bhari Bahar Mein Ek Shaakh Par Khila Hai Gulab;
Ki Jaise Tu Ne Hatheli Pe Gaal Rakha Hai!
Zindagi Kis Tarah Basar Hogi;
Dil Nahi Lag Raha Mohabbat Mein!
Duniya Mein Hai Kaam Bahut;
Mujhko Itna Yaad Na Aa!
Zuban Zuban Pe Shor Tha Ki Raat Khatm Ho Gayi;
Yahan Sahar Ki Aas Mein Hayat Khatm Ho Gayi!
Naye Daur Ke Naye Khwab Hain Naye Mausamo Ke Gulaab Hain;
Ye Mohabbaton Ke Chirag Hain Inhe Nafraton Ki Hawa Na Den!
Utho Ye Manzar-e-Shab-Taab Dekhne Ke Liye;
Ki Neend Sharat Nahi Khwab Dekhne Ke Liye!
*Manzar-e-Shab-Taab: Scene of bright night
Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi;
Guzarte Waqt Ki Har Mauj Thehar Jayegi!
Samne Hain Jo Use Log Bura Kehte Hain;
Jis Ko Dekha Hi Nahi Us Ko Khudaa Kehte Hain!
Jidhar Jaate Hain Sab Jaana Udhar Achha Nahin Lagta;
Mujhe Pamaal Raston Ka Safar Achha Nahi Lagta!
Dafan Kar Sakta Hun Seene Mein Tumhare Raaz Ko;
Aur Tum Chaho To Afsana Bana Sakta Hun Main!



