Tere Khyaal Ke Deewar-o-Dar Banate Hain;
Hum Apne Ghar Mein Bhi Tera Hi Ghar Banate Hain!
Kuch Gham-e-Janan Kuch Gham-e-Dauran Dono Meri Zaat Ke Naam;
Ek Ghazal Mansub Hai Us Se Ek Ghazal Halat Ke Naam!
Ye Tum Se Kis Ne Kaha Hai Ki Dastan Na Kaho;
Magar Khuda Ke Liye Itna Sach Yahan Na Kaho!
Jaate Jaate Un Ka Rukna Aur Mud Kar Dekhna;
Jaag Utha Aah Mera Dard-e-Tanhai Bahut!
Saaqi Humein Kasam Hai Teri Chashm-e-Mast Ki;
Tujh Bin Jo Khwab Mein Bhi Piyen Mai Haram Ho!
Nahi Nahi Humein Ab Teri Justuju Bhi Nahi;
Tujhe Bhi Bhool Gaye Hum Teri Khushi Ke Liye!
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Jee Chahta Hai;
Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Jee Chahta Hai!
Dil Hai To Dhadakne Ka Bahana Koi Dhunde;
Patthar Ki Tarah Be-His O Be-Jaan Sa Kyon Hai!
*Be-His - Insensitive
*Be-Jaan - lifeless
Hijr Insan Ke Khad-o-Khal Badal Deta Hai;
Kabhi Fursat Mein Mujhe Dekhne Aana Mere Dost!
* Khad-o-Khal - Features, Shape, Physique
Duniy-e-Tasavvur Hum Abaad Nahi Karte;
Yaad Aate Ho Tum Khud Hi Hum Yaad Nahi Karte!
*Duniy-e-Tasavvur - World of Imagination



