Raat Hai Chand Hai Sitare Hain;
Be-Saharon Ke Sau Sahare Hain!
Apni Surat Pe Bhi Nazar Rakhiye;
Aaina Haath Mein Agar Rakhiye!
Gulon Ko Chum Kar Aayi Saba Si Lagti Thi;
Thi Ik Nazar Pe Moattar Hawa Si Lagti Thi!
*Moattar - perfumed, fragrant
Main Hun Suraj-Mukhi Tu Mera Hai Dilbar Suraj;
Tu Jidhar Jaaye Mera Rukh Bhi Udhar Ho Jaaye!
Koi Dastak Na Koi Aahat Thi;
Muddaton Vaham Ke Shikar The Hum!
Ab Kya Gila Karen Ki Muqaddar Mein Kuch Na Tha;
Hum Ghota-Zan Hue To Samundar Mein Kuch Na Tha!
Kahan Charagh Jalayen Kahan Gulab Rakhen;
Chahaten To Milti Hain Lekin Makaan Nahi Milta!
Jawaan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La;
Zara Si Pyaas To Bujha Sharab La Sharab La!
Raas Aane Lagi Duniya To Kaha Dil Ne Ki Ja;
Ab Tujhe Dard Ki Daulat Nahin Milne Wali!
Le Ke Jaate Na Agar Saath Wo Yaadein Apni;
Yaad Karte Unhein Aur Waqt Guzara Karte!



