Bas Ek Baar Mohabbat Se Dil Hua Khali;
Phir Us Ke Baad Udasi Se Bhar Gaye Mere Din!
Puchna Mat Ki Ye Kya Haal Bana Rakha Hai;
Aaina Ban Ke Mera Dil Na Dukhana Mere Dost!
Danista Hum Ne Apne Sabhi Gham Chhupa Liye;
Pucha Kisi Ne Haal To Bas Muskura Diye!
Wo Kaun Hai Duniya Mein Jo Mazboor Nahi Hai;
Insaan Ko Kisi Baat Ka Maqdur Nahi Hai!
*Maqdur - Power/Authority
Aeeb Khwab Tha Hum Baag Mein Khade Hue The;
Hamare Samne Phulon Ke Sar Pade Hue The!
Dil Gaya Saanson Ka Ab Gham Kya Karen;
Tum Batao Jaan Ki Ab Ham Kya Karen!
Guzre Waqt Ki Shayad Tujhe Khabar Kam Hai;
Mere Safar Mein Koi Tujh Sa Hum-Safar Kam Hai!
Jab Tak Jiye Nibhayenge Hum Un Se Dosti;
Apne Rahe Jo Dost Museebat Mein Chaar Din!
Na Main Khasta-Haal Hota Na Ye Ajnabi Se Lagte;
Ye Haseen Haseen Farishte Mujhe Aadmi Se Lagte!
Kya Jald Guzarti Hain Shab-e-Vasl Ki Ghadiyan;
Ik Hijr Ka Din Hai Ki Guzarta Hi Nahi Hai!



