Aankhen Sahar Talak Mere Dar Se Lagi Rahi;
Kya Puchhte Ho Haal Shab-e-Intezar Ka!
Zindagi Apni Nazar Aane Lagi Sirf Sarab;
Kabhi Guzre Jo Dil-e-Zar Ke Veerane Se!
Fareb De Ke Bhi Us Ka Kasoor Kam Hi Raha;
Ki Hum Ne Us Pe Bharosa Bhi Kuch Zyada Kiya!
Khat To Bheja Hai Par Ab Khauf Yahi Hai Dil Mein;
Maine Kya Us Ko Likha Aur Woh Kya Samjhega!
Aah Bhi Harf-e-Dua Ho Jaise;
Ik Dukhi Dil Ki Sada Ho Jaise!
Use.e Mohabbat Hai Hum Se Lekin Kabhi Zabaan Se Kaha Nahi Hai;
Nigaah Padhne Mein Hum Hain Maahir Use Ye Shayad Pata Nahi Hai!
Apne Hi Khoon Se Is Tarah Adavat Mat Kar;
Zinda Rahna Hai To Saanson Se Bagawat Mat Kar!
Zindagi Mein Aisa Kitni Baar Hota Hai Yahan;
Manzilon Ka Raasta Dushvar Hota Hai Yahan!
Didani Hai Tere Itaab Ka Rang;
Shisha-e-Chashm Mein Sharab Ka Rang!
*Didani - Visible
*Itaab - Temper, Anger
Duniya Mein Dil Laga Ke Bahut Sochte Rahe;
Kanton Ko Gudguda Ke Bahut Sochte Rahe!



