Main Apni Maut Se Khalvat Mein Milna Chahta Hun;
So Meri Naav Mein Bas Main Hun Nakhuda Nahi Hai!
Main Zakhm Zakhm Tha Lekin Gulab Haathon Mein;
Badi Thi Chot To Lekin Zara Si Lagti Thi!
Kuch Ajnabi Se Log The Kuch Ajnabi Se Hum;
Duniya Mein Ho Na Paye Shanaasa Kisi Se Hum!
* Shanaasa - Acquaintance
Is Ummeed Pe Roz Charagh Jalate Hain;
Aane Wale Barson Baad Bhi Aate Hain!
Dil Pagal Hai Roz Nayi Nadani Karta Hai;
Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai!
Kitnon Ko Jigar Ka Zakhm Seete Dekha,
Dekha Jise Khoon-e-Dil Hi Peete Dekha;
Ab Tak Rote The Marne Walon Ko Aur Ab,
Hum Ro Diye Jab Kisi Ko Jeete Dekha!
Har Ek Gham Pe Ranj-e-Safar Uthate Hue;
Main Aa Pada Hun Yahan Tujh Se Door Jaate Hue!
Main Udta Rehta Hun Neele Samundaron Mein Kahin;
So Titliyon Ke Liye Khwab Laata Rehta Hun!
Chalo Wo Aankh Mein Paani To De Gaya Varna;
Ye Saans Andhe Kuen Mein Sada Si Lagti Thi!
Mar Bhi Jaun To Kahan Log Bhula Hi Denge;
Lafz Mere, Mere Hone Ki Gawahi Denge!



