Kyon Kisi Se Wafa Kare Koi;
Dil Na Maane To Kya Kare Koi!
Vaise To Ik Aansu Hi Baha Kar Mujhe Le Jaye;
Aise Koi Toofan Hila Bhi Nahi Sakta!
Angdai Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath;
Dekha Jo Mujh Ko Chhod Diye Muskura Ke Haath!
Baaki Hai Ab Bhi Tark-e-Tamanna Ki Aarzoo;
Kyunkar Kahun Ki Koi Tamanna Nahi Mujhe!
Wo Kisi Aur Ka Hua Hai Aaj;
Wo Jo Kal Tak To Sirf Mera Tha!
Aaye Ho To Ye Hijab Kya Hai;
Munh Khol Do Naqab Kya Hai!
Dhoop Rukhsat Hui Shaam Aayi Sitara Chamka;
Gard Jab Baith Gayi Naam Tumhara Chamka!
Guzre Jo Apne Yaaron Ki Sohbat Mein Chaar Din;
Aisa Laga Basar Hue Jannat Mein Chaar Din!
Achcha Hai Ki Laga Nahi Unhen Pyaar Ka Rog;
Aate Aate Aayenge Raah Pe Agle Log!
Raat Ki Tirgi Sajayenge;
Aansuon Ke Diye Jalayenge!



