Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki;
Badi Aarzoo Thi Mulaqat Ki!
Soona Soona Dil Ka Mujhe Nagar Lagta Hai;
Apne Saaye Se Bhi Aaj To Darr Lagta Hai!
Payal Kabhi Na Khol De Saajan Dil Ka Raaz;
Door Door Tak Jayegi Ghunghru Ki Awaaz!
Khwab Ka Rishta Haqeeqat Se Na Joda Jaye;
Aaina Hai Ise Patthar Se Na Toda Jaye!
Ghutan Si Hone Lagi Us Ke Paas Jaate Hue;
Main Khud Se Rooth Gaya Hun Use Manaate Hue!
Keh Do In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basen;
Itni Jagah Kahan Hai Dil-e-Dagh-Dar Mein!
Amir-e-Karvaan Hai Tang Hum Se;
Hamara Raasta Sab Se Alag Hai!
Meri Apni Aur Us Ki Aarzu Mein Farq Ye Tha;
Mujhe Bas Woh Use Saara Zamana Chahiye Tha!
Teri Aankhon Ka Kuchh Kasoor Nahi;
Haan Mujhi Ko Kharab Hona Tha!
Rone Wale Tujhe Rone Ka Saleeqa Hi Nahi;
Ashk Peene Ke Liye Hain Ki Bahane Ke Liye!



