Hua Hai Tujh Se Bichhadne Ke Baad Ye Maalum;
Ki Tu Nahi Tha Tere Saath Ek Duniya Thi!d
Na Koi Vaada Na Koi Yaqeen Na Koi Umeed;
Magar Humein To Tera Intezar Karna Tha!
Kash Khushiyon Ki Kahin Dukan Hoti,
Aur Hamari Waha Pehechan Hoti;
Aap Ka Har Pal Khushiyon Se Bhar Dete,
Qismat Uski Chahe Meri Jaan Hoti!
Bin Baat Ke Hi Roothne Ki Aadat Hai,
Kisi Apne Ka Saath Paane Ki Chahat Hai;
Aap Khush Rahe Mera Kya Hai,
Main To Aaina Hu, Mujhe Tootne Ki Aadat Hai!
Tumhare Pass To Phir Bhi Tum Ho;
Mere Pass To Main Bhi Nahi!
Humne Kabhi Kisi Ko Aazmaya Nahi,
Jitna Pyaar Diya Utna Kabhi Paya Nahi;
Kisi Ko Hamari Bhi Kami Mehsoos Ho,
Shayad Aisa Khuda Ne Humein Banaya Nahi!
Dil Ke Zakhmon Par Mat Ro Mere Yaar;
Waqt Har Zakhm Ka Marham Hota Hai!
Kabhi Khud Par Kabhi Halaat Pe Rona Aaya;
Baat Nikli To Har Ek Baat Pe Rona Aaya!
Safar Ke Baad Bhi Mujh Ko Safar Mein Rehna Hai;
Nazar Se Girna Bhi Goya Khabar Mein Rehna Hai!
Tu Kaash Mile Mujh Ko Akeli To Bataun;
Suljhe Meri Qismat Ki Paheli To Bataun!



