Ek Bujhao Ek Jalao Khwab Ka Kya Hai;
Aankhon Mein Rakh Kar So Jao Khwab Ka Kya Hai!
Nazron Mein Kahan Us Ki Wo Pehla Sa Raha Main;
Hansta Hun Ki Kya Soch Ke Karta Tha Wafa Main!
Bahar Bahar Sannata Hai Andar Andar Shor Bahut;
Dil Ki Ghani Basti Mein Yaaro Aan Base Hain Chor Bahut!
Aandhi Hai Tez Dhul Se Ghar Aur At Na Jaaye;
Toote Kivaad Band Karo Dam Ulat Na Jaaye!
Ho Gaye Nakaam To Pachhtayein Kya;
Doston Ke Samne Sharmayein Kya!
Vahan Hina-Bandi Thi Aur Zulf Ko Suljhana Tha;
Yahan Pareshani Thi Aur Khoon-e-Jigar Khana Tha!
Main Apne Saath Koi Aisi Chaal Chal Jaaun;
Har Ik Hisar Se Bachta Hua Nikal Jaaun!
Puch Lete Wo Bas Mizaz Mera;
Kitna Aasan Tha Ilaaz Mera!
Ek Dafa Wo Mujhe Dil Mein To Aane Deta;
Main Use Shaam Nahi Deta Zamane Deta!
Abhi Hai Ghair Ke Altaf Se Jafa-e-Habib;
Wahi Raza Hai Hamari Jo Hai Raza-e-Habib!



