Agar Main Un Ki Nigahon Se Gir Gaya Hota;
To Aaj Apni Nazar Se Utar Gaya Hota!
Dilkashi Naam Ko Bhi Alam-e-Imkan Mein Nahi;
Apne Matlab Ka Koi Phool Gulistan Mein Nahi!
Gum-Shuda Mausam Ka Ankhon Mein Koi Sapna Sa Tha;
Badalon Ke Udte Tukdon Mein Tera Chehra Sa Tha!
Naseh Nasihaten Ye Kahan Yaad Rehti Hain;
Hazrat Abhi Kisi Se Tabiyat Lagi Nahi!
Kahan Koi Khazana Chahta Hun;
Zara Sa Muskurana Chahta Hun!
Chand Taare Bana Ke Kaghaz Par;
Khush Hue Ghar Saja Ke Kaghaz Par!
Chaman Mein Atish-e-Gul Bhi Nahi Dhuan Bhi Nahi;
Bahar To Ye Nahi Hai Magar Khizan Bhi Nahin!
Wo Mila Ke Nazar Is Ada Se Chala;
Jaise Milne Kisi Apsara Se Chala!
Pehle Chingari Se Ik Shola Banata Hai Mujhe;
Phir Wohi Tez Hawaon Se Darata Hai Mujhe!
Aankhon Se Wo Kabhi Meri Ojhal Nahi Raha;
Ghafil Main Us Ki Yaad Se Ik Pal Nahin Raha!



