sms

Ashkon Ke Guhar Yun Sar-e-Mizhgan Bhi Na Tolen;
In Aankhon Se Keh Do Ki Abhi Raaz Na Kholen!

sms

Tumhare Hisse Ke Jitne Bhi Gham Hain Main Le Luun;
Mere Naseeb Ki Har Ik Khushi Mile Tum Ko!

sms

Mujh Ko Ta-Umar Tadapne Ki Saza Hi Dena;
Tujh Ko Manzoor Agar Ho To Bhula Hi Dena!

sms

Nazron Mein Kahan Us Ki Wo Pehle Sa Raha Main;
Hansta Hun Ki Kya Soch Ke Karta Tha Wafa Main!

sms

Udaas Naina Jo Baraste Hain Sahab Ki Tarah;
To Gham Ke Phool Bhi Mehakte Hain Gulab Ki Tarah!

sms

Apne Kadam Ki Chaap Se Yun Darr Rahe Hain Hum;
Maqtal Ki Samt Jaise Safar Kar Rahe Hain Hum!

sms

Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue 'Habeeb';
Hum Behtarin Din Bhi Ganvate Chale Gaye!

sms

Ban Ke Hasrat Sama Gaya Ik Shakhs;
Mujh Ko Aansu Bana Gaya Ik Shakhs!

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa:

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa,
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;

Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh,
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa;

Pehle Se Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To,
Rasm-o-Rah-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa;

Kis Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Hum,
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa;

Ik Umar Se Hun Lazzat-e-Girya Se Bhi Mehrum,
Ai Rqhat-e-Jan Mujh Ko Rulane Ke Liye Aa;

Ab Tak Dil-e-Khush-Fahm Ko Tujh Se Hain Ummeedein,
Ye Aakhiri Shamein Bhi Bujhane Ke Liye Aa!

sms

Kya Ghazab Hai Zindagi Ki Daud Mein;
Rahzan Aage Badha Rahbar Gira!

End of content

No more pages to load

Next page