Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jana Tera;
Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Tera!
Chamakte Suraj Uchhalte The Kahan Gaye Wo;
Jo Shamein Subhon Mein Dhalte The Kahan Gaye Wo!
Naseeb Apna Sukhnavaron Mein Hamari Ginti Na Ho Sakegi;
'Umar' Adakar Hum Agar Ba-Kamal Hote Kamal Hote!
Main Tar-Tar 'Zafar' Ho Gaya Hun Jis Ke Sabab;
Falak Ke Chaak Usi Fikar Se Rafu Hue Hain!
Us Ki Yaad Aur Dard Ki Saughat Mere Saath Thi;
Us Se Badh Kar Ek Tanha Raat Mere Saath Thi!
Ai 'Saadat' Jo Nasihat Karte Ho Auron Ko Tum;
Is Nasihat Ko Kabhi Apni Bhi Babat Dekhna!
Dil Ke Sahra Mein Bade Zor Ka Badal Barsa;
Itni Shiddat Se Koi Raat Mujhe Yaad Aaya!
Ghatayein Udi Udi Mai-Kada Bar-Dosh-e-Fasl-e-Gul;
Na Jaane Laghzish-e-Tauba Se Imanon Pe Kya Guzri!
Paane Ki Tarah Ka Na To Khone Ki Tarah Ka;
Hona Bhi Yahan Par Hai Na Hone Ki Tarah Ka!
Main Pehle Be-Bak Hua Tha Josh-e-Mohabbat Mein;
Meri Tarah Phir Us Ne Bhi Sharmana Chhoda Tha!



