Kitne Mah-o-Anjum Hain Ziya-Pash Azal Se;
Lekin Na Hui Kam Dil-e-Insan Ki Siyahi!
Teri Qismat Mein Tahi-Daman Hi Rahna Tha 'Qadir';
Varna Us Ne Anjuman Mein Phool Barsaye Bahut!
Itni Mushkil Mein Bhi Ahbab Na Daalen Mujh Ko;
Ki Sambhalna Bhi Na Chahun To Sambhalen Mujh Ko!
Jahan Saansein Nahi Chalti Vahan Kya Chal Raha Hai;
Bahisht-e-Khak Mein Ai Raftagan Kya Chal Raha Hai!
Aap Ko Ghair Se Ulfat Ho Gayi;
Haan Jabhi To Mujh Se Nafrat Ho Gayi!
Tere Firaq Mein Ghutnon Chali Hai Tanhai;
Khayal-o-Khwab Mein Phuli-Phali Hai Tanhai!
Hum Ne Maana Ki Mehka Ke Ghar Rakh Diya;
Kitne Phoolon Ka Sar Kaat Kar Rakh Diya!
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salaam Kis Ka Tha;
Na Tha Raqib To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha!
Jo Dil Par Bojh Hai Yarab Zara Bhi Kam Nahi Hota;
Zamana Gham To Deta Hai Sharik-e-Gham Nahi Hota!
Zakhm-e-Dil Ki Kasak Chhupane Ko;
Jism Par Ghaav Chahte Hain Hum!



