Kisi Ke Jaal Mein Aa Kar Main Apna Dil Ganva Baitha;
Mujhe Tha Ishq Qatil Se Main Apna Sar Kata Baitha!
Safar Mein Aise Kayi Marhale Bhi Aate Hain;
Har Ek Mod Pe Kuch Log Choot Jaate Hain!
Sham-e-Gham Afsurda-o-Hairan The Hum;
Log Samjhe Be-Sar-o-Saman The Hum!
Kya Kya Hain Gile Us Ko Bata Kyon Nahi Deta;
Taazir-e-Khata Mujh Ko Suna Kyon Nahi Deta!
*Taazir-e-Khata: Punishment for mistake
Kabhi Firaq Kabhi Lazzat-e-Visal Mein Rakh;
Mujh Etidal Se Aari Ko Etidal Mein Rakh!
*Etidal: Moderation
Ye Na Kahiye Ki Meri Aankh Se Tapka Aansu;
Chhodiye Bhi Koi Toota Hua Tara Hoga!
Hathiyar Haath Mein Liye Saans Roke Aankhein Khole;
Shikar Ki Taak Mein Baitha Hun Main Chook Ki Koi Gunjaish Hi Nahi!
Ab Chal Pada Hun Akhiri Apne Safar Ko Mein;
Achha Hai Seedha Kar Lun Jo Apni Qamar Ko Main!
Mustaqil Ab Bujha Bujha Sa Hai;
Akhir Is Dil Ko Ye Hua Kya Hai!
Badan Se Rooh Talak Hum Lahu Lahu Hue Hain;
Tumhare Ishq Mein Ab Ja Ke Surkh-Ru Hue Hain!



