Mujhe Dil Ki Khata Par 'Yas' Sharmana Nahi Aata;
Paraya Jurm Apne Naam Likhvana Nahin Aata!
Mumkin Nahin Hai Apne Ko Rusva Vafa Kare;
Duniya-e-Be-Sabat Ki Khatir Dua Kare!
Sach Baat Kaun Hai Jo Sar-e-Aam Keh Sake;
Main Keh Raha Hun Mujh Ko Saza Deni Chahiye!
Hum Se Pehle Bhi Musafir Kayi Guzre Honge;
Kam Se Kam Raah Ke Patthar To Hatate Jaate!
Maza Chakha Ke Hi Mana Hun Main Bhi Duniya Ko;
Samajh Rahi Thi Ki Aise Hi Chhod Dunga Use!
Ye Baat Ab Ke Use Batana Nahi Padegi;
Ghazal Ko Harghiz Ghazal Sunana Nahi Paḍegi!
Tu Ne Kyon Hum Se Tawaqqo Na Musafir Rakhi;
Hum Ne To Jaan Bhi Tere Vaaste Hazir Rakhi!
Jab Bhi Koi Hamrahi Saath Chhod Jaata Hai;
Muddaton Khayal Us Ka Saath Saath Chalta Hai!
Achcha Hai Ki Laga Nahi Unhein Pyaar Ka Rog;
Aate Aate Aayenge Raah Pe Agle Log!
Main Na-Samajh To Nahi Ranjishon Se Laḍta Phirun;
Main Rukh Badal Ke Mohabbat Ki Aad Leta Hun!



