Kyon Pasheman Ho Agar Vaada Wafa Ho Na Saka;
Kahin Vaade Bhi Nibhane Ke Liye Hote Hain!
Hum Toh Tamam Umar Teri Hi Ada Rahe;
Ye Kya Hua Ki Phir Bhi Hum Bewafa Rahe!
Nazron Mein Kahan Us Ki Wo Pehla Sa Raha Main;
Hansta Hun Ki Kya Soch Ke Karta Tha Wafa Main!
Hum Se Kya Ho Saka Mohabbat Mein;
Khair Tum Ne To Bewafai Ki!
Taras Gaye Hain Thodi Si Wafa Ke Liye,
Kisi Se Pyaar Na Karenge Khuda Ke Liye;
Jab Bhi Lagti Hai Ishq Ki Aadalat,
Hum Hi Chune Jaate Hain Sazaa Ke Liye!
Woh Nikal Gaye Mere Raaste Se Is Kadar Ki,
Jaise Ki Woh Mujhe Pehchante Nahi;
Kitne Zakham Khaye Hain Mere Is Dil Ne,
Phir Bhi Hum Us Bewafa Ko Bewafa Mante Hi Nahi!
Apne Usool Kabhi Yun Bhi Todne Pade,
Khata Uski Thi Hath Mujhe Jodne Pade!
Aashiqui Mein Bahut Zaruri Hai,
Bewafai Kabhi Kabhi Karna!
Aap Daulat Ke Tarazu Mein Dilon Ko Taulen,
Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain!
Dushmanon Ki Jafa Ka Khauf Nahin;
Doston Ki Wafa Se Darte Hain!