Yeh Bewafa Zindagi Bhi Tumhare Naam Karte Hain 'Faraz';
Suna Hai Khoob Banti Hai Bewafa Se Bewafa Ki!
Wafa Tujh Se Aey Bewafa Chahta Hun;
Mere Sadgi Dekh Kya Chahta Hun!
Bewafai Pe Teri Jee Hai Fida;
Qahar Hota Jo Bewafa Hota!
Rehne De Yeh Kitaab Tere Kaam Ki Nahi,
Iss Mein Likhe Hue Hain Wafaaon Ke Tazkare!
Wafa Tujh Se Ai Bewafa Chahta Hun;
Meri Saadgi Dekh Kya Chahta Hun!
Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata,
Mayus Mere Dil Se Sawali Nahi Jata;
Kaante Hi Kya Karte Hain Phoolon Ki Hifazat,
Phoolon Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata!
Iss Mohabbat Ki Kitaab Ke Bas Do Hi Sabak Yaad Hue;
Kuch Tum Jaise Aabaad Hue Kuch Hum Jaise Barbaad Hun!
Aaj Bhi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha,
Chehra Wohi Tha Chehre Ka Libas Wohi Tha;
Kaise Us Ko Bewafa Keh Dun Yaaro,
Aaj Bhi Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha!
Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibahne Wala;
Wo Hi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala!
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Hamari Tanhayion Se Aankh Churate Rahe,
Aur Humein Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chhipate Rahe!