Shayari



sms

Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath;
Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale!

Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa;
Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum;
Aaj Wakif Hai Yaaro Humse Shehar Ka Har Ek Aadmi;
Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum!

sms

Hai Agar Hamari Koi Khata Tu Sabit To Kar;
Agar Bure Hain Hum To Bura Saabit To Kar;
Tujhe Chaha Hai Humne Kitna, Tu Kya Jane;
Chal Hum Bewafa Hi Sahi, Tu Apni Wafa Sabit To Kar!

sms

Maine Har Gum Ko Hans Kar Utha Liya;
Raaz Teri Bewafai Ka Sabse Chhipa Liya;
Mujhko To Teri Wafaon Par Yakin Tha;
Na Jane Kyon Tumne Apna Daman Chhuda Liya!

Wafa Ka Naam Mat Lo Yaaro Wafa Dil Ko Dukhati Hai;
Wafa Ka Naam Lene Se Humein Ek Bewafa Kee Yaad Aati Hai!

Kis Se Se Mangein Dawaa Zakhmon Kee;
Sabhi Ne Chotein Khayi Hain;
Kisi Ka Sanam Bewafa Hai To;
Kisi Ka Sajan Harzayi Hai!

Jaan Kar Bhi Woh Humein Jaan Na Paye;
Aaj Tak Woh Humein Pehchaan Na Paye;
Khud Hi Kar Lee Bewafai Humne;
Taaki Unpar Koi Ilzaam Na Aaye!

sms

Hum Aapko Chahenge Wafa Ki Had Tak;
Bewafai Ko Apki Hum Wafa Kar Denge;
Royenge Aap Hume Dekar Saza;
Ek Din Hum Aisi Khata Kar Denge!

sms

Jo Dil Zinda Hi Na Ho Uske Liye Zindagi Kya Hai;
Lete Rehte Hain Naam Unka Woh Mere Nahi To Kya Hai;
Dhadkta Rehta Hai Kehne Ko To Ye Dil Mera;
Zindagi Chalti Rahe Ya Khatam Ho Humein Matlab Hi Kya Hai!

sms

Farz Tha Jo Mera Nibha Diya Maine;
Usne Jo Maanga Wo Sab Diya Maine;
Wo Sunke Gairon Ki Baatein Bewafa Ho Geya;
Samajh Kar Khawab Usko Aakhir Bhula Diya Maine!

End of content

No more pages to load

Next page