Wo Ajnabi Tha Toh Mujse Dil Lagaya Kyun;
Is Gair Ko Apna Banaya Kyun;
Wo Mera Hota To Mujhe Chhod Ke Kyun Jata;
Wo Mera Nahi Tha Toh Meri Zindagi Me Aya Kyun!
Bar Bar Zindagi Ko Ajmaea Hai Hammne;
Har Pal Har Lamha Sirf Gum Paya Hai Hammne;
Dil Ke Tukre Ushi Ne Kie Hai Hamare;
Dil Ki Gehraion Mein Jishe Basaea Hai Hammne!
Saray Raah Jo Unseh Nazar Mili;
To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye;
Hum Nazar Mila Kar Jhijhag Gaye;
Woh Nazar Jhukaa Kar Chalay Gaye!
Kabhi Laga Woh Humhe Sata Rahe Hai;
Kabhi Laga Ke Woh Karib Aa Rahe Hai;
Kuch Log Hote Hai Ansuon Ki Tarah Hi;
Pata Hi Nahi Lagta Sath De Rahe He Ya Chod Ke Ja Rahe Hai!
Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi;
Jis Raat Rukhsat Unki Barat Hogi;
Uth Jaate Hai Yeh Soch Kar Neend Se Aksar;
K Kisi Gair Ki Bahon Mein Hamari Saari Kainat Hogi!
Hum Ne Iqbal Ka Kaha Maana;
Aur Faaqon Ke Haathon Marte Rahe;
Jhukne Waalon Ne Rifatein Paaein;
Hum Khudi Ko Buland Karte Rahe!
Bekhabar Tujhe Kya Khabar;
Teri Aankhon Mai Kaisa Jamal Hai;
Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar;
Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai!
Unke Honthon Pe Mera Naam Jab Aya Hoga;
Khud ko Ruswaie Se Phir Kaise Bachaya Hoga;
Sun ke Fasana Auro Se Meri Barbadi Ka;
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga!
Jaane Kyu Log Hamhe Aajmate Hai;
Kuch Pal Sath Rahne Ke Baad Dur Chale Jate Hai;
Sach Hi Kahte Hai Log Ki Sagar Ke Milne Ke Baad;
Log Barish Ko Bhul Jate Hai!
Palko Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi;
Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi;
Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho;
Hum Hai Ki Ek Umar Se Soye Hi Nahi!



