Jane Kya Soch Ke Lehrein Sahil Se Takrati Hain;
Aur Phir Se Vapis Laut Jati Hain;
Samaj Nahi Ata Ke Woh Kinaro Se Bewafai Karti Hain;
Ya Phir Laut Ke Samandar Se Wafa Nibhati Hain!
Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum;
Ek Ishare Par Duniya Chor Jaate Hum;
Samnder Ke Beech Mein Pahunch Kar Fareb Kiya Usne;
Wo Kehta To Kinare Par Hi Doob Jaate Hum!
Na Thi Jisko Mere Pyaar Ki Kadar;
Ittefaaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main;
Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko;
Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main!
Saameit Ke Le Ja Apne Jhoote Vaade Aur Adhoore Kisse;
Agli Chahat Mein Tumhe Fir Inki Jaroorat Padegi!
Aisa Kya Likhoon Ke Tere Dil Ko Taskeen Pahunchay;
Kya Yeh Kaafi Nahin Ke Meri Duaaon Mein Tum Ho!
Uske Hoonton Par Mera Naam Jab Aaya Hoga;
Khud Ko Rusvaayi Se Phir Kaise Bachaaya Hoga;
Sun Ke Auron Se Fasaanaa Meri Barbaadi Ka;
Kya Usko Apna Sitam Yaad Na Aaya Hoga!
Kuch To Majbooriyaan Uski Bhi Rahi Hongi Aye Gaalib;
Varnaa Yunhi Mohabbat Mein Koi Bewafaa Nahi Hota!
Ek Chhoti Si Galti Pe Wo Mujhe Chhod Gaya;
Jaise Sadiyon Se Wo Meri Galti Ki Talaash Mein Hi Tha!
Mohabbat Dekhi Hai Maine Zamaane Bhar Ke Logon Ki;
Jahaan Kuch Daam Zyada Ho Aksar Vahaan Insaan Bik Jaate Hain!
Zikar Us Pariwash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Gaya Raqeeb Aakhir, Tha Jo Raazdaan Apna!
Raqeeb = Rival



