Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunaate Rahe;
Humari Tanhaayion Se Ankh Churaate Rahe;
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki;
Hum Har Dard Muskura Kar Chipaate Rahe!
Humse Dur Jane Ka Bahana Na Bana Lena;
Bass Jane Ki Ek Wajah Bata Dena;
Khud Chale Jayenge Apki Zindagi Se;
Lekin Jahan Aapki Yaad Na Aaye;
Uss Jagah Ka Pata Bata Dena!
Kissi Ke Pyar Mein Gehri Chot Khai Hai;
Wafa Se Pehle Hi Wafa Bewafa Paayi Hai;
Log To Dua Maangte Hein Iss Haal Mein Marne Ki;
Par Hamne Uski Yaadon Mein Jeene Ki Kasam Khai Hai!
Kya Batau Mera Haal Hai Kaisa;
Ek Din Guzarta Hai Ek Saal Jaisa;
Tadapta Hu Iss Kadar Bewafayi Mein Uski;
Yeh Tan Baanta Ja Raha Hai Kankal Jaisa!
Kankal = Skeleton
Duniya Bhi Dekhi Aur Duniyadaari Bhi Deekhi;
Dil Par Mainee Chalti Hui Aari Bhi Dekhi;
Dekhe The Jo Log Maine Wafadariyaan Nibhaate;
Unhi Ke Hathon Maine Hoti Gadaari Bhi Dekhi!
Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai;
Kasam Khuda Ki, Wahin Dhokha Khaya Hai;
Kyon Dosh Dete Hain Hum Kaanto Ko;
Zakhm To Humne Phulo Se Hi Paya Hai!
Unki Chahat Mein Dil Majbur Ho Geya;
Bewafai Karna Unka Dastur Ho Geya;
Kasur Unka Nahi, Hamara Tha;
Humne Chaha Hi Itna Ki Unko Garur Ho Geya!
Jaan Kar Bhi Woh Mujhe Jaan Na Paiye;
Aaj Tak Woh Mujhe Pehchaan Na Paiye;
Khud Hi Karli Bewafai Hum Ne, Dosto;
Ta-Ke Unn Par Koi Ilzaam Na Aaye!
Wo Zeher Dekar Maarte To Duniya Ki Nazron Mein Aa Jaate;
Andaaz-e-Qatal To Dekho, Mohabbat Karke Chhod Diya!
Woh Bhool Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha;
Jab Woh Ruthte The To Unhe Manaya Kisne Tha;
Woh Kehte Hain Ke Woh Bahut Achhe Hain;
Lekin Woh Bhool Gaye Ke Unhe Yeh Bataya Kisne Tha!



