Hazar Shama Farozan Ho Roshni Ke Liye;
Nazar Nahi To Andhera Hai Aadmi Ke Liye!
Kitni Lambi Khamoshi Se Guzra Hun;
Un Se Kitna Kuch Kehne Ki Koshish Ki!
Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge;
Teri Mehfil Mein Lekin Hum Na Honge!
Yaar Sab Jama Hue Raat Ki Khamoshi Mein;
Koi Ro Kar To Koi Baal Bana Kar Aaya!
Ek Woh Hain Ki Jinhen Apni Khushi Le Doobi;
Ek Hum Hain Ki Jinhen Gham Ne Ubharne Na Diya!
Saja Rahega Andheron Se Hi Khandar Mera;
Ek Ek Kar Ke Hua Khatam Ab Safar Mera!
Is Zamane Ki Ajab Tishna-Labi Hai Ai 'Zafar';
Pyaas Us Ki Sirf Bujhti Hai Hamare Khoon Se!
Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Taak Kar Hairan Hua;
Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Kisi Zamaane Mein!
Dil Aur Shama Dono Barabar Hain Sokhta;
Uthta Hai Kis Jagah Se Dhuan Dekhte Raho!
*Sokhta: Burnt, Grieved
Ek Majzoob Udasi Mere Andar Gum Hai;
Is Samundar Mein Koi Aur Samundar Gum Hai!



