
Log Nafrat Ki Fizaon Mein Bhi Jee Lete Hain;
Hum Mohabbat Ki Hawa Se Bhi Dara Karte Hain!

Ye Hasil Hai Meri Khamoshiyon Ka;
Ki Patthar Azmane Lag Gaye Hain!

Tera Ghuroor Mere Zabt Ka Sawaal Raha;
Bikhar Bikhar Ke Tujhe Chahna Kamaal Raha!

Suraj Hun Zindagi Ki Ramaq Chhod Jaunga;
Main Doob Bhi Gaya To Shafaq Chhod Jaunga!
*Ramaq: The last gasp

Sunne Wale Ro Diye Sun Kar Mareez-e-Gham Ka Haal;
Dekhne Wale Taras Kha Kar Dua Dene Lage!

Koi Naam Hai Na Koi Nishaan Mujhe Kya Hua;
Main Bikhar Gaya Hun Kahan Kahan Mujhe Kya Hua!

Kisi Ko Kya Bataun Kaun Hun Main;
Ki Apni Dastaan Bhoola Hua Hun!

Saath Chalta Hai Koi Aur Bhi Su-e-Manzil;
Mujh Ko Dhokha Mere Naqsh-e-Kaf-e-Pa Dete Hain!
*Naqsh-e-Kaf-e-Pa: Footprints

Bijli Giregi Sehn-e-Chaman Mein Kahan Kahan;
Kis Shakh-e-Gulistan Pe Mera Ashiyan Nahin!

Buri Sarisht Na Badli Jagah Badalne Se;
Chaman Mein Aa Ke Bhi Kaanta Gulab Ho Na Saka!