Yeh Sard Raat Yeh Aawargi Yeh Neend Ka Bojh;
Hum Apne Shehar Mein Hote To Ghar Chale Jaate!
Log Dete Rahe Kya Kya Na Dilase Mujh Ko;
Zakhm Gehra Hi Sahi Zakhm Hai Bhar Jayega!
Bazaaron Mein Ab Woh Pehle Si Raunak Kahan,
Tyoharon Mein Woh Pehle Si Baat Kahan;
Hawaon Mein Sardiyon Ki Kashish Kahan,
Aur Tumhare Bin Main Kahan!
Apne Jalne Mein Kisi Ko Nahi Karte Hain Shareek;
Raat Ho Jaaye To Hum Shama Bujha Dete Hain!
Mohabbat Ne Akela Kar Diya Hai;
Main Apni Zaat Mein Ik Qafila Tha!
Ye Kya Tilism Hai Kyon Raat Bhar Sisakta Hun;
Wo Kaun Hai Jo Diyon Mein Jala Raha Hai Mujhe!
Nala-e-Bulbul-e-Shaida To Suna Hans Hans Kar;
Ab Jigar Thaam Ke Baitho Meri Baari Aayi!
*Nala-e-Bulbul-e-Shaida: Crying of nightingale who is in deep ardor
Zakhm Khate Hain Aur Muskurate Hain Hum;
Haunsla Apna Khud Azmate Hain Hum!
Zindagi Kis Tarah Basar Hogi;
Dil Nahi Lag Raha Mohabbat Mein!
Dafan Kar Sakta Hun Seene Mein Tumhare Raaz Ko;
Aur Tum Chaho To Afsana Bana Sakta Hun Main!



