
Kuch Gham-e-Janan Kuch Gham-e-Dauran Dono Meri Zaat Ke Naam;
Ek Ghazal Mansub Hai Us Se Ek Ghazal Halat Ke Naam!

Nahi Nahi Humein Ab Teri Justuju Bhi Nahi;
Tujhe Bhi Bhool Gaye Hum Teri Khushi Ke Liye!

Kahan Charagh Jalayen Kahan Gulab Rakhen;
Chahaten To Milti Hain Lekin Makaan Nahi Milta!

Bas Ek Baar Mohabbat Se Dil Hua Khali;
Phir Us Ke Baad Udasi Se Bhar Gaye Mere Din!

Danista Hum Ne Apne Sabhi Gham Chhupa Liye;
Pucha Kisi Ne Haal To Bas Muskura Diye!

Zindagi Apni Nazar Aane Lagi Sirf Sarab;
Kabhi Guzre Jo Dil-e-Zar Ke Veerane Se!

Aah Bhi Harf-e-Dua Ho Jaise;
Ik Dukhi Dil Ki Sada Ho Jaise!

Apne Hi Khoon Se Is Tarah Adavat Mat Kar;
Zinda Rahna Hai To Saanson Se Bagawat Mat Kar!

Duniya Mein Dil Laga Ke Bahut Sochte Rahe;
Kanton Ko Gudguda Ke Bahut Sochte Rahe!

Main Zakhm Zakhm Tha Lekin Gulab Haathon Mein;
Badi Thi Chot To Lekin Zara Si Lagti Thi!