
Safar Ke Baad Bhi Mujh Ko Safar Mein Rehna Hai;
Nazar Se Girna Bhi Goya Khabar Mein Rehna Hai!

Vahan Hina-Bandi Thi Aur Zulf Ko Suljhana Tha;
Yahan Pareshani Thi Aur Khoon-e-Jigar Khana Tha!

Puch Lete Wo Bas Mizaz Mera;
Kitna Aasan Tha Ilaaz Mera!

Chaman Mein Atish-e-Gul Bhi Nahi Dhuan Bhi Nahi;
Bahar To Ye Nahi Hai Magar Khizan Bhi Nahin!

Mujh Ko Ta-Umar Tadapne Ki Saza Hi Dena;
Tujh Ko Manzoor Agar Ho To Bhula Hi Dena!

Apne Kadam Ki Chaap Se Yun Darr Rahe Hain Hum;
Maqtal Ki Samt Jaise Safar Kar Rahe Hain Hum!

Chamakte Suraj Uchhalte The Kahan Gaye Wo;
Jo Shamein Subhon Mein Dhalte The Kahan Gaye Wo!

Main Tar-Tar 'Zafar' Ho Gaya Hun Jis Ke Sabab;
Falak Ke Chaak Usi Fikar Se Rafu Hue Hain!

Teri Qismat Mein Tahi-Daman Hi Rahna Tha 'Qadir';
Varna Us Ne Anjuman Mein Phool Barsaye Bahut!

Hum Ne Maana Ki Mehka Ke Ghar Rakh Diya;
Kitne Phoolon Ka Sar Kaat Kar Rakh Diya!