
Zakhm-e-Dil Ki Kasak Chhupane Ko;
Jism Par Ghaav Chahte Hain Hum!

Ab Chal Pada Hun Akhiri Apne Safar Ko Mein;
Achha Hai Seedha Kar Lun Jo Apni Qamar Ko Main!

Ye Baat Ab Ke Use Batana Nahi Padegi;
Ghazal Ko Harghiz Ghazal Sunana Nahi Paḍegi!

Yahi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi;
Ye Dard Tum Ne Diya Hai To Koi Baat Nahi!

Dil Mein Ho Gar Khwahish-e-Tasveer-e-Ibrat Dekhna;
Khush-Naseebi Bantne Walon Ki Qismat Dekhna!

Mehfil Se Uthane Ke Saza-Var Humin The;
Sab Phool Tere Baag The Ik Khaar Humin The!

Saja Rahega Andheron Se Hi Khandhar Mera;
Ik Ik Kar Ke Hua Khatam Ab Safar Mera!

Tareek Shab Hai Aur Larazte Hue Charagh;
Lagte Nahi Hain Subah Ke Asar Moatabar!

Tere Bin Raat Ke Haathon Pe Ye Taaron Ke Ayagh;
Khoobsurat Hain Magar Zehar Ke Pyalon Ki Tarah!

Maut Bhi Meri Dastaras Mein Nahi;
Aur Jeena Bhi Apne Bas Mein Nahi!