
Mere Marne Par Lakh Rone Aayenge;
Mere Rone Par Kaun Marta Hai?

Wo Zehar Deta To Sab Ki Nigah Mein Aa Jata;
So Ye Kiya Ki Mujhe Waqt Pe Dawayein Na Di!

Rusva Hue Zaleel Hue Dar-Ba-Dar Hue;
Haq Baat Lab Pe Aayi To Hum Be Hunar Hue!

Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota!

Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Ravani Hai;
Khud Raah Bana Lega Behta Hua Paani Hai!

Kise Apna Banayein Koi Is Qabil Nahi Milta;
Yahan Patthar Nahut Milte Hain Lekin Dil Nahi Milta!

Jaane Kis Mod Pe Le Aayi Humein Teri Talab;
Sar Pe Sooraj Bhi Nahi Raah Mein Saaya Bhi Nahi!

Kah Raha Hai Shor-e-dariya Se Samundar Ka Sukut;
Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Hi Vo Khamosh Hai!
* Sukut - Silence
* Zarf - Vase, Capability

Jo Log Maut Ko Zaalim Qarar Dete Hain;
Khuda Milaye Unhein Zindagi Ke Maaron Se!

Mujhe Khabar Nahi Gham Kya Hai Aur Khushi Kya Hai;
Ye Zindagi Ki Hai Surat To Zindagi Kya Hai!